Chal rahe the jab hum anjan raho par
Mila tha hume koi pyara sa unhi raho par
Bhatak rahe the jab hum un raho par
mila tha who tabhi hume un raho par
Khush hue the hum bahut yu us se yu milkar
Chal rahe the jab hum anjan raho par
Woh rahein bhi apni si lagne lagi thi, us se yu milkar
Koi tha aisa jiski baton me hum kho jate the
doob jate the hum uski baton mein kuch us tarah
Chal rahe the jab hum anjan raho par
Koi tha jo na jane kyu itna apna-sa lagta tha
Koi tha jo bahut pyara lagta tha
Koi hai jise hum aaj bhi yaad karte hai
Par woh "Koi" na jane ab kaha hai
Pata nahi kaha kho gaya un anjaan rahon par
Na jane woh kaisa hoga
Phir dubara kyu ye rahein anjaan si lagne lagi
Chal rahe hai ab hum anjaan raho par
bahut door se dekh rahe the hum iss dunia ko
isliye hame har koi apne se zyada aziz lagta tha
aur jab hum iske paas aaye tho apna aziz bhihame ajnabi sa lagta hai
ab hum apne dil ko kaise samjhaaye iss matlabi dunia ka aalam
vo to bas door se dekhne ko kehta hai
Maza aata hai tumhe satane me
ruthe na koi to maza kya manane me
ek tumhi se to khushi hai zara si
kya rakha hai is zindagi aur zamane me